Two line Sher Shayari Posted By: RAZI(shayari) August 05, 2010 Leave a Reply Ye kis ko fikr hai ke Qabeelay ka kyaa huwa? Sab iss pe lad rahe hain ke Sardaar kaun hai. hame koii tum saa mil jaaye, ye naamumkin sahi tumhe bhii ham sa mil jaaye, baDaa mushkil sa lagta hai Jo Dil Mai Reh Ke Bhi Mera Na Ban Saka GHALIB Aur Dil Wo Kaafir Jo Mujh Mein Rehker Bhi Tera Ho Gaya....!! Duniya me aur bhi wajah hoti hai dil ke toot jane ki log yuhi mohabbat ko badnam kiya karte hai !! Aati hai yaad uski aksar, jisko kabhi meri yaad nahi aati mujhe bhi koi yaad karta hoga,jiski mujhe yaad nahi aati Wo Ek khat, Jo Us ne kabhi Likha hee Nahi Me rozz Beth ker, us ka Jawab likhta hoon.. Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ka Aadi Nahi Warna Ye Umr Tujhe Khwab Dikhane Ki Nahi Hai Mere Haton Ki Lakiron Main Nahi Tuu Shayed Apni Taqdeer Bana Mera Muqadder Na Badal kabhi toota nahi mere dil se teri yaad ka tilism Faraz guftagu jis se bhi ho khayal tumhara hi aata hai Main to khud apnay liye ajnabi sa ban gaya hun. Tu bata mujh se juda ho ker tujhe keisa laga kal tera jikr aa gaya ghar mein aur ghar der tak mahakata raha Bahaanaa kyu tarasha rooth jane ka FARAZ Bas itnaa kah dete dil me jagah nahi rahi Log meri deewangi ko fakeeri samjhti rahe FARAZ Mein tu usey dekhnee ki khatir bheek mangta rahaa Iska gam nahi, kyon 'Usne' barbaad kiya, gam iska hai ki, bahot der ke baad kiya..........!!! Hamara ashk bahana to roz ka mamool hai magar aaj uske shaher ki hawaon mein nami kyun hai kabhi aate the khwaab neend me bekas aaj kal neend ke khwaab aate hai Wo aik shab jali tou usay SHAMMA keh diya FARAZ, Hum barson se jal rahe hein koi tou khitaab do!!!!!! Tumhaari dunia me hamare jaise hazaaro hai FARAZ ek ham hii pagal the, jo tumhe paa ke itaraane lage terA na ho sakA to mar jaaunga faraz kitana khUbasUrat vo jhUth bola karata tha.. Khataa to jab ho ke haal-e-dil kisi se kaheiin Kisi ko chahatey rahnaa, koii khataa to nahiin anna ne haath uthney nahin diye warna, meri dua se vo pathar bhi pighal sakta tha jisko jaana hi nahin, usko khuda kyo maane aur jise jaan chuke vo khuda kaise ho Muhabbat to wo pehli hi muhabbat thi Faraz.. Iss k baad tau her shakhs mai dhoonda uss ko wahan se aik pani k boond na nikal sake faraz, tamam umar jin ankhon ko hum jheel likhte rahe. Wo is ana me rehte hain ke hum unko unse mangen FARAZ Hum is gurur me rehte hain ke hum apni hi chiizen manga nahi karte so jaate haiN, footpath par akhabaar bichhaa_kar, mazdoor kabhi neeNd ki goli nahiN khaate ! Masjid to do din me banadi imaan walo ne, Mann apna purana paaapi hai barso se namaazi na ban saka mujh se kehti hai tere saath rahun gi sada FARAZ bahot piyar karti hai mujhse UDAASI meri jisako bhii dekhaa rotaa huaa payaa faraz mohabbat to mujhe kisii fakiir kii badduaa lagatii hai koi to mol lagaaye meri hastii ka faraz kisi ki aankh ke aansu khareedne hain mujhe Sab chahte hain mujhe, par mera koi nahi, main is shehar me urdu ki tarah hu. Tum mujhe kabhi dil kabhi aankho se pukaro ghalib, ye honton ka takalluf to zamaane ke liye hai. Wo bewafa he sahi aao us ka zikar karain faraz Abhi to umar parri hay us ko bhulanay k liye apne dil me dard ko jagah de galib ilm se shayrai nahi aati Vo bevafa har giz na tha, yun hii badnam ho gayA faraaz, hazaroin chahne vale the, kis kis se vaafa karata Mohabbat k andaaz juda juda hai Faraaz, Kisi ne toot ker chaha to koi chah ker toot gaya!! KOI UMEED BAR NAHI AATI KOI SURAT NAZAR NAHI AATI - MAUT KA EK DIN MOIYAN HAI NEEND KYO RAAT BHAR NAHI AATI - AAGE AATI THI HAAL-E-DIL PAR HA(N)SI AB KISI BAAT PAR NAHI AATI - HAI KUCH AISI HI BAAT KE CHUP HOON WARNA KYA BAAT KAR NAHI AATI - HUN WAHA JAHA SE HUM KO BHI KUCH HAMARI KHABAR NAHI AATI - MARTE HAI AARZOO MEIN MARNE KI MAUT AATI HAI PAR NAHI AATI - KABE KIS MUH SE JAAOGE GHALIB SHARM TUM KO MAGAR NAHI AATI jaan de denge ye hamare bas main hai, hum nahi karte baat sitare tod lane ki.. - Hamaari aur Uski Zindagi me faqat tarteeb ka faraq hai FARAZ Uski zindagi mein hum sab ke bad aatay hain Main Bad-dua to nahi daiti ussko magerDua yehi he , usey mujh sa na miley koi--Noshi Gelan - Humne Tumhare Baad na rakhi kisi se Aas, Ek Tajurba bahut tha bade Kaam Aaya... - mulakate jaroori hai agar rishte bachane hai, laga kar bhool jane se to paudhe bhi sukh jate hai - Mere KHUDA Mujhe Tabeer ki takat day day Maine kisi Shakhs ko Khawab Dikha rakhe hain... - tez raftaar zindagi ka ye aalam hai ke, subah ke Gam shaam ko puraane ho jaate hain - Zindagi mein bahut kam mili hain FARAZ, Har wo cheez jise shiddat se chaha maine--Ahmad FARAZ - in hasrato se keh do kahin aur ja basein itni jagah kahan hai dil-e-daagdaar mein--Bahadur Shah Zafar - Main aur us ko bhula du? Kaisi baatein karte ho faraz, surat to phir surat hai, wo naam bhi pyara lagta hai. - ye bataata nahin koi mujhko dil jo aa jaaye to kya karte hain ….Daag Dehlvi - Khairaat mein mili khushi mujhe acchi nahin lagti 'FARAZ' main apne dukhon mein rehta hoon nawaabon ki tarha... --Ahmad FARAZ - Ab Dil Ki Tamana Hai Kaash Aisa He Ho Ansoo Ki Jaga Ankh Sey Hassrat Nikal Jaye. - mere sajdo mein kami to nahin thi FARAZ, mujh se badh ke kisne use maanga tha khuda se--Ahmad FARAZ - hosho-hawaas me behko to koi baat bane yun nashe me ladakhna yaar purana hua.........--ritu saroha--- - tu'ne dekha nahin naqsha meri tanhaayi ka ek qayaamat hai jo har roz guzar jaati hai... katee patang ka rukh mere ghar ki taraf tha usko bhi loot liya lambe hath walo ne -- Ghalib. Continue reading