Lao mujhe patware dedo ,Meri Jimmedari hai- Rahat Indauri Ghazal



सारी बस्ती क़दमों में है, ये भी इक फ़नकारी है
वरना बदन को छोड़ के अपना जो कुछ है सरकारी है

कालेज के सब लड़के चुप हैं काग़ज़ की इक नाव लिये
चारों तरफ़ दरिया की सूरत फैली हुई बेकारी है

फूलों की ख़ुश्बू लूटी है, तितली के पर नोचे हैं
ये रहजन का काम नहीं है, रहबर की मक़्क़ारीहै

हमने दो सौ साल से घर में तोते पाल के रखे हैं
मीर तक़ी के शेर सुनाना कौन बड़ी फ़नकारी है



अब फिरते हैं हम रिश्तों के रंग-बिरंगे ज़ख्म लिये
सबसे हँस कर मिलना-जुलना बहुत बड़ी बीमारी है

दौलत बाज़ू हिकमत गेसू शोहरत माथा गीबत होंठ
इस औरत से बच कर रहना, ये औरत बाज़ारी है

कश्ती पर आँच आ जाये तो हाथ कलम करवा देना
लाओ मुझे पतवारें दे दो, मेरी ज़िम्मेदारी है.,.,!!!

**********************************************************

Sari basti kadmon me hai, ye bhi ek fankari hai
Varna badan ko chhod ke apna jo kuchh hai sarkari hai

Kalej ke sab ladke chup hai kagaj ki ek naav liye
Charo taraf dariya ki surat faili hui bekari hai

Foolon ki khushboo looti hai, titali ke par nonche hain
Ye rahjan ka kaam nahi rahbar ki makkari hai

Hamne do sau saal se ghar me tote paal ke rakhe hain
Meer taqi ke sher sunana kaun badi fankari hai

Ab firte hain ham rishton ke rang birange jakhm liye
Sabse hans kar milna julna bahut badi beemari hai

Daulat baaju hikamt gesu shohrat matha geebat honth
Is aurat se bach kar rahna, ye aurat bajari hai

Kashti par aanch aaye to haath kalam karwa dena
Lao mujhe patvaren de do, meri jimmedari hai

Bewafa na kaho- Rahat Indauri Ghazal

Bewafa na kaho- Rahat Indauri Ghazal
हर एक चेहरे को ज़ख़्मों का आईना न कहो
ये ज़िन्दगी तो है रहमत इसे सज़ा न कहो,.,

न जाने कौन सी मज़बूरीओं का क़ैदी हो,
वो साथ छोड़ गया है तो बेवफ़ा न कहो,.,

तमाम शहर ने नेज़ों पे क्यूँ उछाला मुझे,
ये इत्तेफ़ाक़ था तुम इस को हादसा न कहो,.,



ये और बात कि दुश्मन हुआ है आज मगर,
वो मेरा दोस्त था कल तक उसे बुरा न कहो,.,

हमारे ऐब हमें उँगलियों पे गिनवाओ,
हमारी पीठ के पीछे हमें बुरा न कहो.,,

मैं वक़ियात की ज़न्जीर का नहीं क़ायल,
मुझे भी अपने गुनाहों का सिलसिला न कहो,.,

ये शहर वो है जहाँ राक्षस भी है "राहत",
हर एक तराशे हुये बुत को देवता न कहो,.,!!

*******************************************************************

Har ek chehare ko jakhmon ka aaina na kaho
Ye jindagi to hai rahmat ise saja na kaho

Na jane kaun si majobooriyon ka kaidi ho
Wo sath chhod gaya hai to use bewafa na kaho

Tamam shehar ne nejon pe kyu uchhala hai mujhe
Ye ittefak tha tum ise hadsa na kaho

Ye baat aur hai wo dushman hua aaj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho

Hamare aib hame ungaliyon par ginwao
Hamari peeth ke peechhe hame bura na kaho

Main waqiyat ki janjeer ka nahi kayal
Mujhe bhi apne gunahon ka silsila na kaho

Ye shehar wo hai jahan rakshash bhi hai "Rahat"
Har ek tarase huye but ko devata na kaho