Apna Gham leke kahi aur na jaya jaye - Best Urdu Ghazal Nida Fazil in Hindi Font

अपना ग़म लेके कहीं और न जाया जाये
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाये

जिन चिराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं
उन चिराग़ों को हवाओं से बचाया जाये

बाग में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाये





ख़ुदकुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन यूँ ही औरों को सताया जाये

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाये.,.,!!!!





----------------------------------------------------------------------------------------------------

Apna Gham leke kahin aur na jaya jaye
Ghar me bikhari hui cheejon ko sajaya jaaye

Jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin
Un chiragon ko hawaon se bachaya jaye

Baag me jane ke aadab hua karte hain
Kisi titali ko na foolon se udaya jaaye

Khudkushi karne ki himmat nhin hoti sabme
Aur kuchh din yu hi auron ko sataya jaaye

Ghar se maszid hai bahut door chalo yun kar le
Kisi rote huye bachhe ko hansaya jaye

0 Comments: