Hamara dil sabere ka sunahra jaam ho jaaye -Best Urdu Ghazal by Baseer Badra

हमारा दिल सबेरे का सुनहरा जाम हो जाए
चिरागों की तरह आँखें जले जब शाम हो जाए

मैं खुद भी एतिहातन उस गली से कम गुज़रता हूँ
कोई मासूम क्यों मेरे लिए बदनाम हो जाए





अजब हालत थे यूँ दिल का सौदा हो गया आखिर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाए

समुन्दर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दो हमको
हवायें तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाए

मुझे मालूम है फिर उसका ठिकाना कहाँ होगा
परिंदा आसमान छूने में जब नाकाम हो जाए

उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
न जाने किस गली में ज़िन्दगी की शाम हो जाए,.,!!!




-----------------------------------------------------------------------------------

Hamara dil sabere ka sunahra jaam ho jaye
Chiragon ki tarah aankhe jale jab sham ho jaye

Main khud bhi ehtiyatan us gali se kam gujarta hun
Koi masoom kyon mere liye badnam ho jaye

Ajab haalaat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
Mohabbat ki haweli jis tarah neelam ho jaye

Samandar ke safar me is tarah awaz do hamko
Hawayen tej ho aur kashtiyon me sham ho jaye

Mujhe malum hai fir uska thikana kahan hoga
Parinda aasman chhoone me jab nakam ho jaye

Ujaale apni yaadon ke hamare saath rahne do
Na jaane kis gali me jindagi ki sham ho jaye

0 Comments: