Mehfil - Kuchh Sher Mere Bhi (Ashish Awasthi)



बैठता हूँ लिखने शिद्दत -ए -दिल से .,.पर
खयाल -ए -मोहब्बत कलम रोक देता है .,.,!!

Baithata hun likhne shiddat-e-dil se.. par
Khayal-e-mohabbat kalam rok deta hai

******************************************

देखना ये है के इन्तेजार कितना है ,.,
पहली तकरार के बाद इकरार कितना है ,.,
पहलू में आ जाएँ गे या मुंह फेर लेंगे ,.,
ये जानने को दिल बेकरार कितना है ,.,!!!

Dekhna ye hai ke intejar kitna hai
Pahli takrar ke bad ikrar kitna hai
Pahlu me aa jayen ge ya muh fer lenge
Ye janane ko dil bekarar kitna hai

*******************************************

होगा वो समंदर दुनिया की खातिर ,.,
मैं जानता हूँ के मेरे पैमाने से निकला ,है,.,,.!!

Hoga wo samandar duniya ki khatir
Main janta hun k mere paimane se nikla hai

*******************************************

तेरी हर बात मानने वाला वो तानाशाह हूँ मैं ,.,
जिसके न कहने पे कई दफा ,मौत भी लौट गयी ,.,!!!

Teri har baat manane wala wo tanashah hun mai
Jiske na kahne pe kai dafa, maut bhi laut gayi

*******************************************

सारा शहर अब जलने लगा है मुझसे ,.,
यकीनन कुछ अच्छा किया होगा  मैंने ,.,!!!

Sara shahar ab jalne laga hai mujhse
Yakeenan kuchh achha kiya hoga maine

*******************************************



पीने दे आज मुझे जी भर के आँखों से ,.,
कभी कभी तो ऐसी शराब का दीदार होता है ,.,!!!

Peene de aaj mujhe jee bhar ke aankhon se
Kabhi kabhi to aisi sharab ka deedar hota hai

*******************************************

जिसकी महफ़िल में कभी खनक कम न होती थी समीर ,.,
आज बस टूटे पैमाने और बर्बाद आशिक़ बचे हैं ,.,!!

Jiski mehfil me kabhi khanak kam na hoti thi 'Sameer'
Aaj bas toote paimane aur barbad aashik bache hain

*******************************************

दुनिया में कोई शायर पैदा नहीं होता ,.,
बर्बादी लिखने वाले को दुनिया शायर कहती है ,.,!!

Duniya me koi shayar paida nahi hota
Barbadi likhne wale ko duniya shayar kahti hai

*******************************************

ये मौसम इतना उदास क्यों है 'समीर',.,
कही फिर कोई मरीज -ए -इश्क़ शहर में तो नहीं ??

Ye mausham itna udaas kyo hai sameer
Kahi fir koi mareej-e-ishq shahar me to nahi

*******************************************

ग़ज़ल कहनी नहीं आती तो क्यों आये हो महफ़िल में ,.,
दर्द कैसा भी हो बयां करने से कम होता है ,.,!!

Ghazal kahni nahi aati to kyo aaye ho mehfil me
Dard kaisa bhi ho bayan karne se kam hota hai

*******************************************

खुश तो मैं हूँ, पर ये हवा क्यों ठंडी है 'समीर' ,.,
तूफान के पहले ऐसा अक्सर देखा हैं ,.,!!!

Khush to mai hu par ye hawa kyo thandi hai sameer
Toofan ke pahle aisa aksar dekha hai

*******************************************

एक वक़्त था जब रईसों में गिनती थी अपनी ,.,
तेरे इश्क़ का कारोबार ,मुझे फ़कीर कर गया ,.,!!!

Ek waqt tha jab raheeson me ginati thi apni
Tere ishq ka karobar mujhe fakeer kar gaya

********************************************

थाम लो हवा -ए -इश्क़ को ,अभी वक़्त है 'समीर',.,
ये तूफ़ान तेरा शहर -ए -दिल उजाड़ देगा ,.,.!!!

Thaam to hawa-e-ishq ko abhiu waqt hai sameer
Ye toofan tera shehar-e-dil ujaad dega

**********************************************

मत कर फ़िक्र दुनिया की हद से ज्यादा 'समीर',.,
ये बेफिक्र हो जाये गी , जब तू तन्हा होगा ,.,!!!

Mat kar fikra duniya ki had se jyada 'sameer'
Ye befikra ho jayegi , jab tu tanha hoga

**********************************************

खयाल ये है के कोई शेर ना कहुँ मैँ ,'समीर',.,
महफ़िल का आगाज़ हो जाये मेरे ज़ज़्बात से,.,!!!

Khayal ye hai ke koi sher na kahu main 'Sameer'
Mehfil ka aaghaz ho jaye mere jazbat se

**********************************************

जो भी सोचा ,पूरी शिद्दत से किया 'समीर ',.,
मैखाने से कभी मैं ,अपने पैरों पे नहीँ लौटा ,.,!! 


Jo bhi socha, puri shiddat se kiya 'sameer;
Maikhane se kabhi main apne pairon pe nahi lauta

**********************************************

मैखाने का ज़िक्र मत कर मुझसे 'समीर ',.,
वहां खुशियां लुटाते है लोग ,एक गम खरीदनें को ,.,!!!

Maikhane ka jikra mat kar mujhse 'sameer'
Waha khushiyan lutate hai log , ek gam khareedne ko

**********************************************

दुश्मनी गर मुझसे है तो बदला भी मुझसे ले 'समीर ' ,.,
बर्बाद कर मुझे ,पर ये शहर आबाद रह्ने दे ,.,!!

Dushmani gar mujhse hai to badla bhi mujhse le sameer
Barbad kar mujhe par ye shehar abad rahne de

************************************************


मुझे शराबी ना कहो ज़माने वालों ,.,
नशा तो इस धीमी बरसात का है ,.,!!!




Mujhe sharabi na kaho jamane walo
Nasha to is dhimi barsaat ka hai

*************************************************

माफी भी दूर से देना इस शहर में सबको ,.,
कई क़त्ल हुए हैं माफ़ करने के बाद ,.,!!

Maafi bhi door se dena is shehar me sabko
Kai katl huye hai maaf karne ke baad

*************************************************

खुद को मात देने के लिए खुद ही अपने खिलाफ खेलता हूँ

Khud ko maat dene ke liye khud hi apne khilaaf khelta hun

*************************************************

आँख बंद करके चलाना खंजर मुझ पे ,.,
कही मैं मुस्कुराया तो तुम पहले मर जाओ गे ,.,!!

Aankh band karke chalana khanjar mujhpe
Kahi mai muskaraya to tum pahle mar jao ge

**************************************************

कुछ इस तरह रही है मेरी प्रेम कहानी
होंठो पे झूठी हंसी और आँखों में नमकीन पानी ,.,!!

Kuchh is tarah rahi hai meri prem kahani
Hontho pe jhuthi hansi aur aankho me namkeen pani

**************************************************

मेरी जान जाती रही इश्क़ की महफ़िल में
तमाशबीन बैठे वाह वाह करते रहे ,.,!!

Meri jaan jaati rahi ishq ki mehfil me
Tamashbeen baithe waah waaah karte rahe

**************************************************

मै सोचूं उसे रात या वो याद करे मुझे
इस कशमकश में सवेरा हो गया ,.,
ग़म था , दर्द था , मौसम भी सर्द था
मै बस सोचता रहा और ये दिसंबर भी गया ,.,
लिखा था मैंने खत जरूर उसके खातिर पर
क़ासिद उसके शहर तो गया मगर घर नहीं गया ,.,!!!

Main sochun use raat ya wo yaad kare mujhe
Is kashamkash me savera ho gaya
Gam tha, dard tha, mausham bhi sard tha
Mai bas sochta raha aur ye December bhi gaya
Likha tha maine khat jaroor uske khatir par
Kashid uske shehar to gaya magar ghar nahi gaya

***************************************************

ऐ दिल क्यों नहीं चलता तू सीधी डगर ,.,
इस इश्क़ ने उजाड़े हैं कई घर ,.,!!

Ae dil kyon nahi chalta tu seedhi dagar
Is ishq ne ujaade hai kai ghar

***************************************************

लोग तलासते है बस कोई फिकरमंद हो ,.,
वरना कौन ठीक होता है हाल पूछने से ,.,!!

Log talasate hai bas koi fikarmand ho
Varna kaun theek hota hai haal poochhne se

***************************************************

दिल की ना सुन ये फ़कीर कर देगा ,.,
वो जो उदास बैठे हैं ,नवाब थे कभी ,.,!!

Dil ki na sun ye fakeer kar dega
Vo jo udas baithe hain, nawab the kabhi

***************************************************

कैसी ये ज़ंग है दिल जीतने की ,.,
दिल हारने वाले ही दिल जीत जाते हैं ,.,!!!

Kaisi ye jang hai dil jeetane ki
Dil harane wale hi dil jeet jate hain

***************************************************

सारे शहर को इश्क़ का फितूर चढ़ा है 'समीर',.,
सुनो ,ग़मों के सौदागरों के दिन फिरने वाले हैँ ,.,!!!

Sare shehar ko ishq ka fitoor chadha hai 'sameer'
Suno, gamon ke saudagaro ke din firne wale hain

***************************************************

फकीरों को आने दे बस्ती मे ये सोच कर 'समीर ',.,
इस महंगाई मे मुफ्त की दुआ ही मिले गीं ,.,!!!

Fakeeron ko aane de basti me ye soch kar 'sameer'
Is menhgaai me muft  ki dua hi mile gi

***************************************************

बर्बाद मत कर बेरहमी से गुलिस्तां मेरा ,.,
इस रिहाइश गह मे तेरे नाम के भीं पत्थर हैँ ,.,!!

Barbaad mat kar berahami se gulistan mera
Is rihaish gah me tere naam ke bhi patthar hain

***************************************************

मत हटाना नक़ाब इन नशीली आँखों से ,.,
मैखाने बंद हो जाएँ गे शहर मे सारे ,.,!!!

Mat hatana nakab in nasheeli aankhon se
Maikhane band ho jayen ge shehar me sare

***************************************************

अपनी हंसी ख़ुशी को जरा आहिस्ता बयां करना ,.,
सौदागर -ए -गम शहर से कुछ ही दूर है ,.,!!

Apni hasi khushi ko jara aahista bayan karna
Saudagar-e-gam shehar se kuchh hi door hai

***************************************************

फिर वही डगर ,,.,
वही सफर ,वही दोपहर ,.,
और वही घर ,.,!!!

Fir wahi dagar
Wahi safar , wahi dophar
Aur wahi ghar

***************************************************

कुछ होते हैं काबिल जो शेर सुना करते हैं ,.,
कुछ होते हैं आशिक़ जो ग़ज़ल कहा करते हैं ,.,!!

Kuchh hote hain kabil jo sher suna karte hain
Kuchh hote hain aashik jo ghazal kaha karte hain

***************************************************

चल आज रात मैं बहाता हूँ लहू ,.,
तुम चख कर बताना जायका कैसा था ??

Chal aaj raat main bahata hun lahoo
Tum chakh kar batana jayka kaisa tha ??

**************************************************

तेरे घर में उजाले आएं बस इस खातिर ,.,
कल रात मैंने अपना घर जला दिया ,.,!!!

Tere ghar me ujaale aanye bas is khatir
Kal raat maine apna ghar jala diya

**************************************************

बहोत तलबगार था जिस तलब का ,.,
वो तलब , बेमतलब निकली ,.,!!

Bahot talabgaar tha jis talab ka
Wo talab , bematlab nikali

**************************************************

अक्सर मेरे साथ ये वाक़या है हो जाता
रात सो जाती है , मैं नहीं सो पाता ,.,!!

Aksar mere saath ye vakya hai ho jata
Raat so jati hai Main nhin so pata

**************************************************

क्या सोचूं ? क्यों सोचूं? क्यों ये ज़हर पिया है ,.,
क्या समझो गे , छोडो , अब तो दर्द ने भी साथ छोड़ दिया है ,.,!!

Kya sochu ? Kyo sochu ? Kyon ye jahar piya hai ?
Kya samajho ge, chhodo, ab dard ne bhi saath chhod diya hai


**************************************************




                                                               Ashish Awasthi

Mehfil- 2 Liners, Urdu Sher, Shayri, Kavita, Ghazal in Hindi Font Part-4

Mehfil- 2 Liners, Urdu Sher, Shayri, Kavita, Ghazal in Hindi Font Part-4

अगर रुक जाये मेरी धड़कन तो मौत न समझना ,.,
कई बार ऐसा हुआ है तुझे याद करते करते ,.,!!!

Agar ruk jaye meri dhadkan to maut na samjhana
Kai bar aisa hua hai tujhe yaad karte karte

------------------------------------------------------------

जहाँ दरिया कहीं अपने किनारे छोड़ देता है .,.
कोई उठता है और तूफां का रुख मोड़ देता है .,.,!!

Jahan dariya kahi apne kinare chhod deta hai
Koi uthta hai aur toofan ka rukh mod deta hai

------------------------------------------------------------

मत पूछ मेरे सब्र की इन्तेहा कहाँ तक है .,.
तू सितम कर ले तेरी हसरत जहाँ तक है .,.
वफ़ा की उम्मीद जिन्हें होगी ,उन्हें होगी .,.,
हमें तो देखना के तू बेवफा कहाँ तक है .,.!!!

Mat poochh mere sabra ki inteha kahan tak hai
Tu sitam kar le teri hasrat jahan tak hai
Wafa ki ummeed jinhe hogi unhe hogi
Mujhe to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai

--------------------------------------------------------------

दुःख देकर सवाल करते हो ,.
तुम भी ग़ालिब ! कमाल करते हो .,
देख कर पूछ लिया हाल मेरा .,
चलो कुछ तो ख्याल करते हो .,.
शहर -ए -दिल में ये उदासियाँ कैसी .,
ये भी मुझसे सवाल करते हो .,.
अब किस किस की मिसाल दूँ तुमको .,
हर सितम बेमिसाल करते हो .,.,!!!

Dukh dekar sawal karte ho
Tum bhi ghalib kamal karte ho
Dekh kar poochh liya haal mera
Chalo kuchh to khayal karte ho
Shehar-e-dil me ye udasiyan kaisi
Ye bhi mujhse sawal karte ho
Ab kis kis ki misaal dun tumko
Har sitam bemisaal karte ho



-----------------------------------------------------------------

याद न दिलाओ वादा उसका ,.,
शर्मिंदा हूँ मैं खुद ऐतबार करके ,.,!!!

Yaad na dilao wada uska
Sharminda hu mai khud aitbar karke
--------------------------------------------------------------

मुझको थकने नही देता जरूरतों का पहाड़ ,.,
मेरे बच्चे मुझे बूढा होने नहीं देते ,.,!!!

Mujhko thakne nahi deta jaruraton ka pahad
Mere bachhe mujhe budha hone nahi dete

------------------------------------------------------------

इस शहर के क़ातिल को देखा तो नहीं मैंने मगर ,.,
लाशों से अंदाज़ा है के क़ातिल पर जवानी थी ,.,!!

Is shehar ke kaatil ko dekha to nahi maine magar
Lashon se andaja hai ke katil par jawani thi

------------------------------------------------------------

हुस्न का क्या काम सच्ची मोहब्बत में ,.,,
जब आँख मजनू हो तो लैला हसीन ही लगती है ,.,!!

Hushn ka kya kaam sachhi mohabbat me
Jab aankh majnu ho to laila haseen hi lagti hai

------------------------------------------------------------

रुको मैं दिल दिखाता हूँ ,, ये नब्ज क्या खाक बोले गी ,.,
मरीज -ए -इश्क़ हूँ ग़ालिब ,, दवा दूर ही रखो ,.,!!




Ruko mai dil dikhata hu,, ye nabj kya khak bole gi
Mareej-e-ishq hu sahab , dawa door hi rakho

-------------------------------------------------------------

पानी सस्ता है तो फिर इसका तहफ़्फ़ुज़ कैसा ??
खून महंगा है तो हर शहर में बहता क्यों है ??

Paani sasta hai to fir iska tahffuz kaisa ??
Khoon mehnga to har shehar me bahta kyu hai?
---------------------------------------------------------

आया तो घर तलक था वो, लेकिन पता नहीँ...
दस्तक के बाद क्या हुआ, मिल कर न गया...

Aaya to ghar talak tha wo, lekin pata nahin
Dastak ke baad kya hua , mil kar na gaya

------------------------------------------------------------

इसी लिए तो बच्चों पे नूर सा बरसता है,
शरारतें करते हैं, साजिशें तो नहीं करते....!!!!

Isiliye to bachhon pe noor sa barsata hai
Shararaten karte hain, saazishen to nahin karte

---------------------------------------------------------------

जो तुम बोलो बिखर जाएँ जो तुम चाहो संवर जायें,
मगर यूँ टूटना जुड़ना बहुत तकलीफ देता है..

Jo tum bolo bikhar jaayen , jo tum chaho sanwar jaaye
Magar yun tootana judna bahut takleef deta hai

---------------------------------------------------------------

ना शाख़ों ने जगह दी ना हवाओ ने बक़शा,
वो पत्ता आवारा ना बनता तो क्या करता,.,.!!

Na shakhon ne jagah di na hawaon ne bakhsha
Wo patta aawara na banta to kya karta

-----------------------------------------------------------------

ये तो शौक है मेरा दर्द लफ़्ज़ों में बया करनेका,
नादान लोग हमे यूँ ही शायर समझ लेते हैं...!!!

Ye to shauk hai mera dard men bayan karne ka
Naadan log hame yun hi shayar samajh lete hai

-------------------------------------------------------------------

ना होना बेमुरव्वत ,ना दिखाना बेरुखी ,.,
बस सादगी से कहना के "बोझ बन गये हो तुम ",.,!!!

Na hona bemurawwat, na dikhana berukhi
Bas saadgi se kahna ke bojh ban gaye ho tum

-----------------------------------------------------------------

सुकून की बात मत कर ऐ ग़ालिब....
बचपन वाला 'इतवार' अब नहीं आता |

Sukoon ki baat mat kar ae ghaalib
Bachpan wala itwaar ab nahi aata

--------------------------------------------------------------

ना -उम्मीदी का मैं क़ायल तो नहीं हूँ मगर ,.,
मैंने बरसात में जलते हुए घर देखे हैं ,.,!!

Na-ummeedi ka mai kayal to nahi hun magar
Maine barsaat me jalte huye ghar dekhe hain

--------------------------------------------------------------

सूरज के साथ रह के मैं भूला नहीं आदाब,.,
जुगनू का साथ पके वो मग़रूर हो गया ,.,!!!

Sooraj ke saath rah ke main bhoola aadab
Jugnu ka saath paake wo magroor ho gaya

-------------------------------------------------------------

ज़ख़्म देकर न पूछ दर्द की शिद्दत क्या है ,.,
दर्द तो दर्द है ,थोडा क्या ज्यादा क्या ,.,??

Jakhm dekar na poochh dard ki shiddat kya hai
Dard to dard , thoda kya jyada kya ??

------------------------------------------------------------

कितना अजीब है उनका ये अंदाज़-ए मोहब्बत भी...
रोज़ रुला कर कहते है "अपना खयाल रखना ...!!

Kitna ajeeb hai unka ye andaaj-e-mohabbat bhi
Roj rula kar kahte hain, apna khayal rakhna

-----------------------------------------------------------

यही सोचते सोचते हम एक दूसरे को खो देंगे एक दिन ,.,
वो मुझे याद नही करता , मैं उसे याद नही करता ,.,!!!

Yahi sochte sochte ham ek doosre ko kho denge ek din
Wo mujhe yaad nahi karta, mai use yaad nahi karta

------------------------------------------------------------------

खोने के दर से क्यों जीते हो ज़ाहिद ,.,
तुम हमें याद करो ,हम तुम्हें याद करे ,.,!!

Khone ke dar se kyon jeete ho zaahid
Tum hamen yaad karo, ham tumhe yaad kare

------------------------------------------------------------------

वो परिंदा जिसे अपनी परवाज़ से फुर्सत न थी फ़राज़ ,.,
आज तनहा हुआ तो मेरी दीवार पे आ बैठा ,.,!!

Wo parinda jise apni parwaaj se fursat na thi 'faraj'
Aaj tanha hua to meri deewar pe aa baitha

-------------------------------------------------------------------

मेरी ज़िन्दगी का खेल शतरंज से भी मज़ेदार निकला ,.,
मैं हारा भी तो अपनी रानी से ,.,!!

Meri jindagi ka khel shatranj se bhi majedaar nikla
Main haara bhi to apni raani se

-----------------------------------------------------------------

लफ़्ज़ों के हेर फेर का धंधा भी खूब है ,.,
जाहिल भी हमारे शहर में उस्ताद हो गये ,.,!!

Lafjon ke her fer ka dhandha bhi khoob hai
Jaahil bhi hamare shehar me ustaad ho gaye

-------------------------------------------------------------------

प्यास कहती है के अब रेत निचोड़ी जाये ,.,
अपने हिस्से में समंदर नहीं आने वाला ,.,!!!

Pyaas kahti hai ke ab ret nichodi jaaye
Apne hisse me samandar nahi aane wala

------------------------------------------------------------------

सुनो जिसका डर था वोही हो गया ,.,
मोहब्बत हो गयी है तुमसे ,.,!!

Suno jiska dar tha wohi ho gaya
Mohabbat ho gayi hai tumse

-------------------------------------------------------------------

दिल तो मेरा उदास है नासिर ,.,
फिर ये शहर क्यों सायं सायं करता है ,.,!!

Dil to mera udaas hai naasir
Fir ye shehar kyo saany saany karta hai

-----------------------------------------------------------------

तुम्हे मुफ्त में जो मिल गए हम,
तुम कद्र ना करो ये तुम्हारा हक बनता है...!!

Tumhe muft me jo mil gaye ham
Tum kadra na karo ye tumhare haq banta hai

--------------------------------------------------------------

ताबीब अपनी दवा पे नाज़ करता है ऐ लोगो ,.,
मगर मुझे आराम आता है किसी का नाम लेने से ,.,!!

Tabeeb apni dawa pe naaj karta hai ae logo
Magar mujhe aaram aata hai kisi ka nam lene se

-------------------------------------------------------------------

भूल जाना तो रश्म -ए -दुनिया है फ़राज़ ,.,
तुमने भूल कर कौन सा कमाल कर दिया ,.,.,!!!

Bhool jaana to rashm-e-duniya hai faraj
Tumne bhool kar kaun sa kamaal kar diya

----------------------------------------------------------------

आज फिर वो निकले हैं बेनक़ाब शहर में ,.,
आज फिर हुज़ूम होगा कफ़न की दुकान पर ,.,!!

Aaj fir wo nikle hain , benakab shehar me
Aaj fir hujoom hoga kafan ki dukaan par

---------------------------------------------------------------

बर्बाद बस्ती में किसको ढूंढ़ते हो मोहसिन। .,
उजड़े हुए लोगों के ठिकाने नहीं होते ,.,!!!

Barbaad basti me kisko dhundhte ho mohasin
Ujde huye logo ke thikaane nahi hote

-----------------------------------------------------------------

कोशिश जितना भी सुलझाने का करता हु, खुद उतना ही उलझ जाता हु,
क़ंबक्‍त! ये इश्क़ तो मुझे " मसला-ऐ-कश्मीर " लगता है..!!!

Koshish jitna bhi suljhane ka karta hu , khud utna hi ulajh jata hu
Kambakht ! ye ishq bhi mujhe masla-e-kashmir lagta hai

-------------------------------------------------------------------

वोही वहसत , वोही हैरत ,वोही तन्हाई है मोहसिन ,.,
तेरी आँखें मेरे ख्वाबों से कितनी मिलती -जुलती हैं। ,.,

Wohi vahsat, wohi hairat , wohi tanhai hai mohasin
Teri aankhe mere khwabon se kitni milti julti hai

-----------------------------------------------------------------

सायद तू प्यासा कभी मेरी तरफ लौट आये 'फ़राज़ '…
आांखो में लिए फिरता हूँ दरिया तेरी खातिर ,.,!!

Saayad tu pyasa kabhi meri taraf laut aaye faraz
Aankhon me liye firta hu dariya teri khatir

----------------------------------------------------------------

ये थी मौत ,जो बिछड़ के हमने देखी है ,., फ़राज़
जिंदगी तो वोही थी जो तेरी महफ़िल में गुजर गयी ,.,.!!!

Ye this maut jo bichhad ke hamne dekhi hai faraz
Jindagi to wohi thi jo teri mehfil me gujar gayi

------------------------------------------------------------------

फिर कहाँ का हिसाब रहता है ,.,
इश्क़ जब बेहिसाब हो जाये ,.,!!

Fir kahan ka hisab rahta hai
Ishq jab behisab ho jaye

--------------------------------------------------------------------

अपनी यादों से कह दो के एक दिन की छुट्टी दें ,.,
इश्क़ के हिस्से में भी इतवार होना चाहिए ,.,!!!

Apni yadon se kah do ke ek din ki chhutti de
Ishq ke hisse me bhi itwar hona chahiye

----------------------------------------------------------------------

हमारे दिल को कोई मांगने भी न आया ,.,
किसी गरीब की बेटी का हाथ हो जैसे ,.,!!

Hamare dil ko koi mangne bhi na aaya
Kisi gareeb ki beti ha haath ho jaise

-----------------------------------------------------------------------

मैंने भी बदल दिए हैं उसूल -ए -ज़िन्दगी ,.,
अब जो याद करे गा ,सिर्फ वो ही याद रहेगा .,.!!!

Maine bhi badal diye hain usool-e-jindagi
Ab jo yaad kare ga, sirf wo hi yaad rahe ga

-----------------------------------------------------------------------

दुश्मनों से मोहब्बत होने लगी है मुझे ,.,
जैसे जैसे दोस्तों को आज़माता जा रहा हूँ मैं ,.,!!

Dushmano se mohabbat hone lagi hai mujhe
Jaise jaise doston ko aajmata ja raha hu main

---------------------------------------------------------------------

एक अगर तुझको चुरा लूँ मैं ,.,
सारा आलम ही गरीब हो जाये .,.!!

Ek agar tujhko chura lun main
Sara aalam hi gareeb ho jaye

--------------------------------------------------------------------

Mehfil- 2 Liners, Urdu Sher, Shayri, Kavita, Ghazal in Hindi Font Part-3

Mehfil- 2 Liners, Urdu Sher, Shayri, Kavita, Ghazal in Hindi Font Part-3
हमने खुद में पिरोया है तुम्हे एक ताबीज की तरह ,.,
अगर हम टूट गये तो बिखर तुम भी जाओ गे ,.,!!

Hamne khud me piroya hai tumhe ek tabeej ki tarah
Agar ham toot gaye to bikhar tum bhi jao ge

--------------------------------------------------------

सुना है आज बिक रहा है इश्क़ बाज़ार में ,.,
जाओ उस इश्क़ फरामोश से पूछो वफ़ा भी साथ देता है क्या। ,.,??

Suna hai aaj bik raha hai ishq bajar me
Jao us ishq faramosh se poochhi wafa bhi saath deta hai kya?

---------------------------------------------------------

शर्म, अदा, झिझक, परेशानी नाज़ से काम क्यों नहीं लेती ?
"आप, वो, जी, मगर"

ये सब क्या है ?
तुम मेरा नाम क्यों नहीं लेती ?

Sharm, Adaa, Jhijhak , Pareshani naaj se kam kyon nahin leti ?
Aap, wo , jee, magar
Ye sab kya hai ?
Tum mera naam kyon nahi leti ?

-----------------------------------------------------------

छत टपकती है उसके कच्चे घर की ,.,
वो किसान फिर भी बारिश की दुआ करता है ,.,!!!

Chhat tapkati hai uske kachhe ghar ki
Wo kisaan fir bhi barish ki dua karta hai

----------------------------------------------------------

वो मेरी ग़ज़ल पढ़ कर ... पहेलु बदल के बोले
कोई इससे कलम छीने ये किसीकी जान लेलेगा ...!!

Wo meri ghajal padh kar pahlu badal ke bole
Koi isse kalam chheene ye kisi ki jaan le lega




----------------------------------------------------------

इस बार की सर्दियों में ऐसा न होने पाए ...
चढ़ती रहें चादरें मज़ार पर और
बाहर बैठा फ़क़ीर ठंड से मर जाए.,.,!!!

Is bar ki sardiyon me aisa na hone paye
Chadhti rahe chadaren majar par
Bahar baitha fakeer thand se mar jaye



---------------------------------------------------------

चमका ना करो यूँ जुगनू की तरह ,.,!!
किसी दिन हाथों में छुपा कर ले जाऊं गा नहीं तो,.,!!!

Chamka na karo yun jugnu ki tarah
Kisi din hathon me chhupa kar le jau ga nahi to

----------------------------------------------------------

अगर देखनी है क़यामत तो चले आओ हमारी महफ़िल में ,.,.,
सुना है आज महफ़िल में वो बेनक़ाब आ रहे हैं ,.,!!!

Agar dekhani hai qayamat to chale aao hamari mehfil me
Suna hai aaj mehfil me wo benakab aa rahe hain

-----------------------------------------------------------

जब भी टूट कर बिखरता हूँ मैं..
दुगना होकर निखरता हूँ मैं...,.,!!!!

Jab bhi toot kar bikharta hun main
Duguna hokar nikharta hun main

----------------------------------------------------------

हो जो मुमकिन , तो अपना बना लो, तुम...
मेरी तन्हाई गवाह है,,मेरा अपना कोई नहीं.,.,!!!

Ho jo mumkin , to apna bana lo tum
Meri tanhai gawah hai, mera apna koi nahi

----------------------------------------------------------

जिनके आँगन में अमीरी के शज़र (पेड़ ) लगते हैं ,.,
उनके हर ऐब ज़माने को हुनर लगते हैं ,.,!!

Jinke aangan me ameeri ke shajar lagte hain
Unke har aib jamane ko hunar lagte hain

----------------------------------------------------------

मुझे उस जगह से भी मोहब्बत हो जाती है,.,
जहाँ बैठ कर मैं एक बार उसे सोच लेता हूँ..!!

Mujhe us jagah se bhi mohabbat ho jati hai
Jahan baith kar main ek bar use soch leta hu

-------------------------------------------------------------

हम जा रहे हैं वहां जहाँ दिल की क़दर हो .,
बैठे रहो तुम अपनी अदाएं लिए हुए ,.,!!!

Ham ja rahe hain wahan dil ki kadar ho
Baithe raho apni adayen liye huye

-------------------------------------------------------------

कोशिश के बावजूद भी जो पूरी न हो सके ,.,
हाँ ..! तेरा नाम भीं उन्हीं ख्वाइशों में से है ,.,!!

Koshish ke bawjoob bhi jo puri na ho sake
Han..! tera naam bhi unhi khwaishon me se hai

-------------------------------------------------------------

Mehfil- Royal (Nawabi) Urdu Sher, Shayri Collection

Mehfil- Royal (Nawabi)  Urdu Sher, Shayri Collection

Our Android App is available for download , now read and share all shayaris on your mobile 

अब आप सारे शेर ,शायरी पढ़ सकते हैं अपने मोबाइल पे ,क्लिक करिये और डाउनलोड करिये एंड्राइड एप्लीकेशन




मेरी शराफत को तुम बुज़दिली का नाम न दो ,.,.,
दबे न जब तक घोडा ,बन्दूक भी खिलौना ही होती है ,.,!!


Meri sharafat ko tum bujdili ka naam na do
Dabe na jab tak ghoda , banddok bhi khilauna hoti hai

-----------------------------------------------------------------------


यहाँ किसकी मज़ाल है जो छेड़े दिलेर को ,.,
गर्दिश में तो कुत्ते भी घेर लेते हैं शेर को ,.,.,!!!

Yaha kiski majal hai jo chhede diler ko
Gardish me to kutte bhi gher lete hain sher ko


-----------------------------------------------------------------------


जल जाते हैं मेरे अंदाज़ से मेरे दुश्मन
एक मुद्दत से मैंने न मोहब्बत बदली और न
दोस्त बदले .!!


Jal jaate hain mere andaj se mere dushman
Ek muddat se maine na mohabbat badli aur na dost badle

------------------------------------------------------------------------


ज़ज़बात पे क़ाबू वो भी मोहब्बत में ,.,
तूफ़ान से कहते हो चुपचाप गुज़र जाओ ,.,!!

Jajbat pe kabu wo bhi mohabbat me
Toofan se kahte ho chupchap gujar jao




-----------------------------------------------------------------------


मयक़दे की इज़्ज़त का सवाल था
निकले, तो हम भी लड़खड़ा गए,.,.!!!

Maikade ki ijjat ka sawal tha
Nikale, to ham bhi ladkhada gaye


----------------------------------------------------------------------



तेरे कूचे में जो आया है ग़ुलामों की तरह ,.,
अपनी बस्ती का सिकंदर भी तो हो सकता है ,.,,!!

Tere kuche me jo aaya hai gulamon ki tarah
Apni basti ka sikandar bhi to ho sakta hai


------------------------------------------------------------------------------------


मैं कभी सिगरेट पीता नहीं
मगर हर आने वाले से पूछ लेता हूं
कि माचिस है ?


बहुत कुछ है जिसे मैं फूंक देना चाहता हूं.,.,!!

Main kabhi cigarette peeta nahi
Magar har aane wale se poonchh leta hun ke machis hai?
Bahut kuchh hai jise main foonk dena chahta hun


-------------------------------------------------------------------------------------


सुनो जिसकी फितरत थी बगावत करना ,.,
हमने उस दिल पे हुक़ूमत की है ,.,!!!

Suno jiski fitrat thi bagawat karna
Hamne us dil pe huqoomat ki hai

-------------------------------------------------------------------

सूरज, सितारे, चाँद मेरे साथ में रहे.,.
जब तक तुम्हारे हाथ मेरे हाथ में रहे.,,

साखों से टूट जाये वो पत्ते नहीं हैं हम.,,
आंधी से कोई कह दे के औकात में रहे.,.,!!!

Sooraj sitare chand mere saath me rahe
Jab tak tumhare haath mere hath me rahe

Saakhon se toot jaye wo patte nahin hai ham
Aandhi se koi kah de ke aukat me rahe

__________________________________________

गर तुझको गुरूर है सत्ता का इस कदर तो,
हम भी तख्तों को पलटने का हुनर रखते है.,.,!!

Gar tujhko hai guroor satta ka is kadar to
Ham bhi takhton ko palatane ka hunar rakhte hain

---------------------------------------------------------

भाई बोलने का हक़ मैंने सिर्फ दोस्तों को दिया है ,.,
वरना दुश्मन तो आज भी हमें बाप के नाम से पहचानते हैं ,.,!!

Bhai bolne ka hak maine sirf doston ko diya hai
Varna dushman to aaj bhi hame baap ke nam se jante hain

---------------------------------------------------------------------

इतना मगरूर मत बन मुझे वक्त कहते हैं,
मैंने कई बादशाहो को दरबान बनाया हैं!!

Itna magroor mat ban mujhe waqt kahte hain
Maine kai badshahon ko darban bnaya hai

--------------------------------------------------------------------

खून मे ऊबाल, वो आज भी खानदानी है,.,
दुनिया हमारे शौक की नहीं , हमारे तेवर की दिवानी है,.,!!!

Khoon me ubal wo aaj bhi khandani hai
Duniya hamare shauk ki nahi , hamare tevar ki diwani hai

Mehfil- Royal (Nawabi) Urdu Sher, Shayri Collection Part-2  
Royal Ghazal By Basheer Badra (Gaon Mit jaye ga ,Shehar jal jaye ga)  

Mehfil- Maikhana, Jaam, Paimana ,Sharab (Angoor Ki beti) Collection

Mehfil- Maikhana, Jaam, Paimana ,Sharab (Angoor Ki beti) Collection
होठों से लगाकर पी जाऊ तुम्हे.,.,
सर से पाँव तक शराब जैसी हो तुम.,.,.,!!!

Honthon se laga kar pee jaun tumhe
Sar se paon tak sharab jaisi ho tum
------------------------------------------------------

तेरी आँखों की तौहीन है ये ... जरा सोचो ,.,
तुम्हारा चाहने वाला शराब पीता है .,.,!!!

Teri aankhon ki tauhin hai ye, jara socho
Tumhara chahne wala sharab peeta hai

------------------------------------------------------

ये मोहोबत भी नशा-ए-शराब है
करे तो मर जाएं छोडे तो कहा जाएं,.,!!!

Ye mohabbat bhi nasha-e-sharab hai
Kare to mar jayen chhode to kaha jayen

-----------------------------------------------------

लाल आँखे और होंठ शबनमी ,.,
पी के आये हो या खुद शराब हो ,.,!!!




Lal aakh aur honth shabnami
Pee ke aaye ho ya khud sharab ho

---------------------------------------------------

आज इतनी पिला साकी के मैखाना डुब जायें ,.,
तैरती फिरे शराब मे कश्ती फक़ीर की ,.,!!!
 


Aaj itani pila saaki ke maikhana doo jaye
Tairati fire sharab me kashti fakeer ki

--------------------------------------------------

 मैखाने लाख बन्द करे जमाने वाले,
शहर में कम नहीं नजरो से पिलाने वाले...!!!


Maikhane lakh band kare jamane wale
Shehar me kam nahin najron se pilane wale




--------------------------------------------------

होंठ मिला दिए उसने मेरे होंठो से यह कह कर.,.,
अगर शराब छोड़ दोंगे तो ये जाम रोज मिलेगा..!!!


Honth mila diye usne mere hontho se yah kah kar
Agar sharab chhod doge to ye jaam roj mile ga

--------------------------------------------------- 

यहाँ लिबास की कीमत है आदमी की नहीं,
मुझे गिलास बड़ा दे, शराब कम कर दे...!!! 


Yahan libas ki keemat hai aadmi ki nahi
Mujhe gilaas bada de , sharab kam kar de

-------------------------------------------------

ये जो हौले-हौले जाम भरता है साकी !
मेरी तलब का दायरा बढ़ता जाता है !!

Ye jo haule haule jaam bharta hai saaki
Meri talab ka dayra badhta jata hai

Mehfil -Great Urdu Sher, 2 Liner Shayari, Hindi Poetry Part 2

Mehfil -Great Urdu Sher, 2 Liner Shayari, Hindi Poetry Part 2
ये सोच कर की शायद वो खिड़की से झाँक ले,
उसकी गली के बच्चे आपस में लड़ा दिए मैंने....!!!!

Ye soch kar ki sayad wo khidaki se jhank le
Uski gali ke bachhe aapas me lada diye maine

-----------------------------------------------------------------

एक तेरी ना से तंग आकर इस्तीफ़ा देने चला है दिल ,.,
कोई इसे समझाये के प्यार में यूँ केजरीवाल -केजरीवाल न खेलते ,.,!!!

Ek teri na se tang aakar isteefa dene chala hai dil
Koi ise samjhaye ke pyar me yun kejariwal kejariwal na khelte

--------------------------------------------------------------------

मेरे हाथों को मालूम है तुम्हारे गिरेबानों का पता...
चाहूँ तो पकड़ लूँ.. पर मजा आता है माफ करने में.,.,!!!

Mere hathon ko malum hai tumhare girebano ka pata
Chahun to pakad lun par maja aata hai maaf karne me

---------------------------------------------------------------------

फाँसी लगा ली एक दिन गिरगिट ने खुदा से ये कहके...
दुनिया में रँग बदलने में इन्सान हमसे आगे हैं,., !!

Faansi laga li ek girgit se khuda se ye kahke
Duniya me rang badalne me insan hamse aage hain

------------------------------------------------------------------------

एक उसको न जीत सके हम सारी दुनिया से ,.,
सारी उमर बीत गयी खुद को जुआरी कहते कहते ,.,!!!

Ek usko na jeet sake ham sari duniya se
Sari umar beet gayi khud ko juari kahte kahte



---------------------------------------------------------------------------

तेरे कूचे में जो आया है ग़ुलामों की तरह ,.,
अपनी बस्ती का सिकंदर भी तो हो सकता है ,.,,!!  

Tere kooche me jo aaya hai gulamon ki tarah
Apni basti ka sikandar bhi to ho sakta hai

---------------------------------------------------------------------------


तुमसे ना कट सके गा अंधेरों का ये सफ़र ,.,
के अब शाम हो रही है ,मेरा हाथ थाम लो ,.,.,!!

Tumse kat na sake ga andheron ka ye safar
Ke ab sham ho rahi hai , mera hath tham lo

---------------------------------------------------------------------------

मेरे वज़ूद में सांसों के आगही के लिए ,.,
तुम्हारा मुझमे धड़कना बहोत जरुरी है ,.!!

Mere vajood me saanso ke aagahi ke liye
Tumhara mujhme dhadkna bahot jaruri hai

---------------------------------------------------------------------------

निकलूंगा तेरी गली से अब गधे लेकर
तेरे नखरों का बोझ अब उठाया नहीं जाता.,.,!!!

Nikalu ga teri gali se ab gadhe lekar
Tere nakhron ka bojh ab uthaya nahi jata




---------------------------------------------------------------------------

नक़ाब से क्या छुपाये शबाब -ए -हुश्न को ,.,
निगाह -ए -इश्क़ तो पत्थर भी चीर देती है ,.,!!

Nakab se kya chhupaye shaba-e-hushn ko
Nigah-e-ishq ko patthar bhi cheer deti hai

---------------------------------------------------------------------------

हमसे भुलाया नही जाता एक "मुख्लिस"
का प्यार,
लोग जिगर वाले है जो रोज़ नया महबूब
बना लेते है..,.,.!!!

Hamse bhulaya nahin jata ek mukhlis ka pyar
Log jigar wale hain jo roj naya mahboob bana lete hain
---------------------------------------------------------------------------

कुछ इस तरह सौदा किया है वक़्त ने मुझसे ,.,
तज़ुर्बा देकर वो मेरी नादानी ले गया ,.,.!!!

Kuchh is tarah sauda kiya hai waqt ne mujhse
Tajurba dekar wo meri nadani le gaya

---------------------------------------------------------------------------

 क्या पाया मैंने सदियों की मोहब्बत से ,.,
एक शायरी का हुनर ,दूसरा जागने कि सजा ,.,!!

Aur...

यूँ ही नहीं आ जाता शायरी का हुनर ,.,
किसी की मोहब्बत में खुद को तबाह करना पड़ता है ,.,!!!

Kya paya maine sadiyon ki mohabbat se
Ek shayari ka hunar , dusra jaagne ki saja

Aur

Yun hi nahi aa jata shayari ka hunar
Kisi ki mohabbat me khud ko tabah karna padta hai

Mehfil -Great Urdu Sher, 2 Liner, Shayari, Hindi Poetry Part 1

Mehfil -Great Urdu Sher, 2 Liner, Shayari, Hindi Poetry Part 1
अजब हुनर है मेरे हाथों में शेर -ओ -शायरी लिखने का ,.,
मैं अपनी बर्बादियां लिखता हूँ ,और लोग वाह वाह करते हैं ,.,!!!

Ajab hunar hai mere hathon me sher-o-shayari likhane ka
Main apni barbadiyan likhta hun aur log waah waah karte hain

---------------------------------------------------------------------------------

पानी सस्ता है तो फिर इसका तहफ़्फ़ुज़ कैसा ??
खून महंगा है तो हर शहर में बहता क्यों है ??

Paani sasta hai to fir iska tahaffuj kaisa?
Khoon mehnga hai to har shehar me bahta kyu hai ?

-----------------------------------------------------------------------------------

दिल -ए -गुमराह को ए काश के मालूम हो जाता ,.,
मोहब्बत उस वक़्त तक दिलचस्प है जब तक नहीं होती ,.,!!!

Dil-e-gumraah ko ae kash ke malum ho jata
Mohabbat us waqt tak dilchasp hai jab tak nahin hoti

------------------------------------------------------------------------------------

जब वक़्त आया तो वो बिक चुके थे ,.,
हमें अमीर होने में ज़माने लग गए ,.,!!!




Jab waqt aaya to wo bik chuke the
Hame ameer hone me jamane lag gaye

-------------------------------------------------------------------------------------

हम मेहमान नहीं रौनक -ए -महफ़िल हूँ ,.,
मुदत्तों याद रखो गए के दिल में आया था कोई ,.,!!

Ham mehmaan nahi raunak-e-mehfil hun
Muddaton yaad rakho ge dil me aaya tha koi

--------------------------------------------------------------------------------------

अपने हालात का खुद एहसास नहीं मुझको ,.,
मैंने औरों से सुना है के परेशान हूँ मैं ,.,!!!.

Apne haalat ka khud ehsaas nahin mujhko
Maine auron se suna hai ke pareshan hun main



---------------------------------------------------------------------------------------

मेरे कत्ल को मीठी जुबान है काफी,.,
अजीब शख्स है, खंजर तलाश करता है,.,!!!

Mere katl ko mithi juban hi kaafi hai
Ajeeb shaksh hai khanjar talash karta hai

-----------------------------------------------------------------------------------------

बड़ी बेरंग सी हो गयी है अब मेरी ज़िन्दगी ,.,
एक वक़्त था ,जब लोग मुझसे खुश होने का राज़ पूछते थे ,.,!!!

Badi berang se ho gayi hai ab meri jindagi
Ek waqt tha jab log mujhse khush rahne ka raaj poochhte the

-------------------------------------------------------------------------------------------

न जाने कब खर्च हो गये, पता ही न चला,
वो लम्हे, जो छुपाकर रखे थे जीने के लिये,.,!!!

Na jane kab kharch ho gaye , pata hi na chala
Wo lamhe jo chhupa kar rakhe the jeene ke liye

----------------------------------------------------------------------------------------  

गमो में ऐसा घिरा जा रहा हूँ मै ,जरा भी नही मुस्करा पा रहा हूँ मै..

Gamon me aisa ghira ja raha hun main
Jara bhi nahin muskura pa raha hun main