Tum agar nahi aayi, geet ga na paaun ga - Best Hindi Kavita by Kumar Vishwas


तुम अगर नहीं आई, गीत गा न पाउँगा..
सांस साथ छोड़ देगी, सुर सजा न पाउँगा..
तान भावना की है, शब्द-शब्द दर्पण है,
बांसुरी चली आओ होठ का निमंत्रण है.



तुम बिना हथेली की हर लकीर प्यासी है,
तीर पार कान्हा से, दूर राधिका सी है.
दूरियां समझती है, दर्द कैसे सहना है,
आँख लाख चाहे पर, होठ को न कहना है
औषधि चली आओ चोट का निमंत्रण है.


तुम अलग हुई मुझसे, सांस की खताओं से
खुद की दलीलों से, वक़्त की सजाओं से,
रात की उदासी को आंसुओं ने झेला है,
कुछ गलत न कर बैठे, मन बहोत अकेला है.
कंचनी कसौटी को, खोट का निमंत्रण है.




बांसुरी चली आओ चोट का निमंत्रण है.

-----------------------------------------------------------------------

Tum agar nahi aayi, geet ga na pau ga
Saans saath chhod degi, sur saja na pau ga
Taan bhavna ki hai, shabd shabd darpan hai
Baansuri chali aao honth ka nimantran hai


Tum bina hatheli ki har lakeer pyaasi hai
Teer paar kanha se door radhika si hai
Dooriyan samjhati hain,dard kaise sahna hai
Aankh lakh chahe par,honth ko na kahna hai
Aushadi chali aao chot ka nimantran hai


Tum alag hui mujhse, saans ki khataon se
Khud ki daleelon se , waqt ki sajaon se
Raat ki udaasi ko aansuon ne jhela hai
Kuchh galat na kar baithe, man bahut akela hai
Kanchani kasauti ko , khot ka nimantran hai


Baansuri chali aao chot ka nimantran hai

Kah Raha hai Shore daria se samandar ka sakoot- Urdu Sher , 2 Liner in Hindi Font

Kah Raha hai Shore daria se samandar ka sakoot- Urdu Sher , 2 Liner in Hindi Font
कह रहा है शोरे दरिया से समुन्दर का सुकूत,
जिसमे जितना जर्फ़ है उतना ही वो खामोश है.,.,!!!


Kah raha hai shore daria se samandar ka sukoot
Jisme jitna zarf hai utna hi wo khamosh hai

Aa gaya fir waqt-e-rukhsat aakhir aaj- Urdu Sher, 2 Liner in hindi font

Aa gaya fir waqt-e-rukhsat aakhir aaj- Urdu Sher, 2 Liner in hindi font
आ गया फिर वक्त-ए-रुखसत आखिर आज,
चल पड़े लिए अधूरी हसरत हम फिर आज.,.,!!!


Aa gaya fir waqt-e-rukhsat aakhir aaj
Chal pade liye adhoori hasrat ham fir aaj

Uske hontho ko chooma to ye ehsas hua ek paani hi jaruri nahi pyaas bujhane ke liye

Uske hontho ko chooma to ye ehsas hua ek paani hi jaruri nahi pyaas bujhane ke liye
उसके  होंठों को चूमा तो अहसास ये हुआ..
एक पानी ही ज़रूरी नहीं प्यास बुझाने के लिए.,..,!!!!

Uske honthon ko chuma to ehsasa ye hua
Ek pani hi jaroori nahin pyas bujhane ke liye

---------------------------------------------------







 दोस्त ही बुनियाद के पत्थर उठा ले जाये गे.,.,!!!
आप भी इस शहर में एक घर बना के देखिये.,.!!!

Dost hi buniyad ke patthar utha le jayen ge
Aap bhi is shehar me ek ghar bana ke dekhiye

Ham Bhi Pyase hai ye ehsaas to ho saki ko- Best Ghazal Rahat Indauri


इन्तेज़मात नये सिरे से सम्भाले जायें
जितने कमज़र्फ़ हैं महफ़िल से निकाले जायें,.,

मेरा घर आग की लपटों में छुपा है लेकिन,
जब मज़ा है तेरे आँगन में उजाले जायें,.,

ग़म सलामत है तो पीते ही रहेंगे लेकिन,
पहले मैख़ाने की हालत सम्भाले जायें,.,







ख़ाली वक़्तों में कहीं बैठ के रोलें यारो,
फ़ुर्सतें हैं तो समन्दर ही खगांले जायें,.,

ख़ाक में यूँ न मिला ज़ब्त की तौहीन न कर,
ये वो आँसू हैं जो दुनिया को बहा ले जायें,.,



हम भी प्यासे हैं ये एहसास तो हो साक़ी को,
ख़ाली शीशे ही हवाओं में उछाले जायें,.,

आओ शहर में नये दोस्त बनायें "राहत"
आस्तीनों में चलो साँप ही पाले जायें,.,!!!

----------------------------------------------------------------------------

Intejamat naye sire se sambhale jayen
Jitne kamzarf hain mafil se nikale jayen

Mera ghar aag ki lapton me chhupa hai lekin
Jab maja hai tere aangan me ujale jaayen

Gham salamat hai to peete hi rahe ge lekin
Pahle maikhane ki halat sambhale jaaye

Khali waqt me kahin baith ke ro len yaron
Fursat hai to samandar hi khangale jaayen

Khak me yun na mil, zabt ki tauheen na kar
Ye wo aansoo hain jo duniya ko baha le jaayen

Ham bhi pyaase hain ye ehsaas to ho saaki ko
Khali sheeshe hi hawaon me Uchhale jaayen

Aao shehar me naye dost banaye 'Rahat'
Aasteeno me chalo saanp hi pale jaayen

Bas Gayi mere ehsas me ye kaisi mahak- Urdu Ghazal

Bas Gayi mere ehsas me ye kaisi mahak- Urdu Ghazal
बस गयी है मेरे अहसास में ये कैसी महक.,.
कोई खुशबू मैं लगाऊं , तेरी खुशबू आये.,.,

मैंने दिन रात खुदा से ये दुआ मांगी थी.,.,
कोई आहट न हो दर पे मेरे और तू आये.,.,

उसने छोड़ कर मुझे पत्थर से फिर इंसान किया .,.,
मुद्दतों बाद मेरी आँख में आंसू आये .,.,.,!!!!





---------------------------------------------------------------



Bas gayi hai mere ehsasa me ye kaisi mahak
Koi khushboo main lagau, teri khushboo aaye

Maine din raat khuda se ye dua mangi thi
Koi aahat na ho dar pe mere aur tu aaye

Usne chhod kar mujhe patthar se fir insan kiya
Mudatton bad meri aankh me aansoo aaye

Ab mai samjha tere rukhsar pe til ka matlab- 2 Liner, Urdu Sher

Ab mai samjha tere rukhsar pe til ka matlab- 2 Liner, Urdu Sher
अब मै समझा तेरे , रुकसार पे तिल का मतलब .,,.
दौलत -ए-हुस्न पे दरबान बिठा रक्खा है .,.,.!!!!


------------------------------------------------------

हमें करते हो मजबूर शरारतों के लिए, खुद ही हमारी शरारतों को बुरा बताते हो .,.,!!
अगर इतना ही डरते हो तुम आग से, तो बताओ तुम आग क्यों भड़काते हो.,.,.,!!!!!
  




------------------------------------------------------

क़हक़हों में गुज़र रही है हयात,
अब किसी दिन उदास भी कर दे|

फिर न कहना के ख़ुदकुशी है गुनाह,
आज फ़ुर्सत है फ़ैसला कर दे|.,.,.,!!!!
 


--------------------------------------------------------






जो बसेरा है अपनी रातों का ,
सब उसे आसमान कहते हैं !
छत पे बारिश ने रात काटी है ,
गीले-गीले निशान कहते हैं.,.,.,!!!
----------------------------------------------------------

दिल कि दबिश के सामने औकत क्या तेरी ,
रफ़्तार- ए-वक़्त थम, के ग़ज़ल कह रहा हूं मैं ..."!!!!
 
 





Best Urdu Sher, 2 Liners, Shayri, Kavita, Ghazal in Hindi Font

मेरे मज़हब में दीदार-ए-यार जायज़ ना था .,.,
पर उसने नकाब में रह कर मुझे काफ़िर बना दिया.,.,!!!
 

Mere Mazhab me deedar-e-yaar jayaj na tha
Par usne naqab me rah kar mujhe qafir bana diya
------------------------------------------------------


मत पूछ क्या हाल है मेरा तेरे आगे .,.,!!!
तू देख क्या रंग है तेरा मेरे आगे.,.,!!!


Mat poochh kya hal hai mera tere aage
Tu dekh kya rang hai tera mere aage

-------------------------------------------------------

अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपायें कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक नज़र आयें कैसे


Apne chehare se jo jahir hai chhupayen kaise
Teri marji ke mutabik najar aaye kaise

घर सजाने का तस्सवुर तो बहुत बाद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचायें कैसे .,.,!!!






Ghar sajane ka tassavur to bahut baad ka hai
Pahle ye tay ho ki is ghar ko bachayen kaise

------------------------------------------------------

इन्तेज़मात नये सिरे से सम्भाले जायें|
जितने कमज़र्फ़ हैं महफ़िल से निकाले जायें,.

मेरा घर आग की लपटों में छुपा है लेकिन,
जब मज़ा है तेरे आँगन में उजाले जायें.,.,.,!!!!
 
 


Intejamaat naye sire se sambhale jaaye
Jitne kamzarf hai mehfil se nikale jaaye

Mera ghar aag ki lapton me chhupa hai lekin
Jab maja hai tere aangan me ujaale jaaye

--------------------------------------------------------------------------


अब मै समझा तेरे , रुकसार पे तिल का मतलब .,,.
दौलत -ए-हुस्न पे दरबान बिठा रक्खा है .,.,.!!!!





Ab main samjha tere rukhsar pe til ka matlab
Daulat-e-husn pe darbaan bitha rakha hai

------------------------------------------------------

हमें करते हो मजबूर शरारतों के लिए, खुद ही हमारी शरारतों को बुरा बताते हो .,.,!!
अगर इतना ही डरते हो तुम आग से, तो बताओ तुम आग क्यों भड़काते हो.,.,.,!!!!!
  


Hame karte ho majboor shararaton ke liye, khud hi hamari shararaton ko bura batate ho
Agar itna hi darte ho tum aag se, to batao tum aag kyo bhadkate ho


------------------------------------------------------

क़हक़हों में गुज़र रही है हयात,
अब किसी दिन उदास भी कर दे,.,!!

फिर न कहना के ख़ुदकुशी है गुनाह,
आज फ़ुर्सत है फ़ैसला कर दे,.,!!!


Kahkahon me gujar rahi hai hayat
Ab kisi din udas bhi karde

Fir na kahna ke khudkushi gunah hai
Aaj fursat hai faisla kar de

--------------------------------------------------------


जो बसेरा है अपनी रातों का ,
सब उसे आसमान कहते हैं !
छत पे बारिश ने रात काटी है ,
गीले-गीले निशान कहते हैं.,.,.,!!!


Jo basera hai apni raton ka
Sab use aasman kahte hain

Chhat pe barish ne raat kaati hai
Geele Geele Nishan kahte hain
----------------------------------------------------------

दिल कि दबिश के सामने औकत क्या तेरी ,
रफ़्तार- ए-वक़्त थम, के ग़ज़ल कह रहा हूं मैं ..."!!!!
 
 


Dil ki dabish ke samne aukat kya teri
Raftaar-e-waqt tham, ke ghazal kah raha hu main




Best Urdu Sher- Charsazo ki charsazi se dard badnam nahi hoga

Best Urdu Sher- Charsazo ki charsazi se dard badnam nahi hoga
चारासाजों की चारसाज़ी से ,
दर्द बदनाम तो नहीं होगा ?




हाँ दवा दो मग़र ये बतला दो ,
मुझको आराम तो नहीं होगा.,.,!!!

---------------------------------------------------------------

Charsaajon ki chaarsaji se
Dard badnam to nahin hoga ?

Ha dawa do magar ye batla do
Mujhko araam to nahin hoga

Apna Gham leke kahi aur na jaya jaye - Best Urdu Ghazal Nida Fazil in Hindi Font

Apna Gham leke kahi aur na jaya jaye - Best Urdu Ghazal Nida Fazil in Hindi Font
अपना ग़म लेके कहीं और न जाया जाये
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाये

जिन चिराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं
उन चिराग़ों को हवाओं से बचाया जाये

बाग में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाये





ख़ुदकुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन यूँ ही औरों को सताया जाये

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाये.,.,!!!!





----------------------------------------------------------------------------------------------------

Apna Gham leke kahin aur na jaya jaye
Ghar me bikhari hui cheejon ko sajaya jaaye

Jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin
Un chiragon ko hawaon se bachaya jaye

Baag me jane ke aadab hua karte hain
Kisi titali ko na foolon se udaya jaaye

Khudkushi karne ki himmat nhin hoti sabme
Aur kuchh din yu hi auron ko sataya jaaye

Ghar se maszid hai bahut door chalo yun kar le
Kisi rote huye bachhe ko hansaya jaye

Royal Ghazal- Kitni pee kaise kati raat, Mujhe Hosh nahi- Best Urdu Ghazal by Rahat Indauri

कितनी पी कैसे कटी रात मुझे होश नहीं
रात के साथ गई बात मुझे होश नहीं



मुझको ये भी नहीं मालूम कि जाना है कहाँ
थाम ले कोई मेरा हाथ मुझे होश नहीं



आँसुओं और शराबों में गुजारी है हयात
मैं ने कब देखी थी बरसात मुझे होश नहीं

जाने क्या टूटा है पैमाना कि दिल है मेरा
बिखरे-बिखरे हैं खयालात मुझे होश नहीं,.,!!!




Kitani pee kaise kati raat mujhe hosh nahin
Raat ke saath gayi baat mujhe hosh nahin

Mujhko ye bhi nahin malum ke jana hai kahan
Thaam le koi mera haath mujhe hosh nahi

Aansuo aur sharabon me gujaari hai hayat
Maine kab dekhi thi barsaat mujhe hosh nahin

Jaane kya toota hai paimana ki dil hai mera
Bikhare bikhare hain khayalat mujhe hosh nahin

Kisi Aah ke liye door talak mat jana- Rahat Indauri Ghazal in Hindi Font

Kisi Aah ke liye door talak mat jana- Rahat Indauri Ghazal in Hindi Font
किसी आहू के लिये दूर तलक मत जाना
शाहज़ादे कहीं जंगल में भटक मत जाना

इम्तहां लेंगे यहाँ सब्र का दुनिया वाले
मेरी आँखों ! कहीं ऐसे में चलक मत जाना




जिंदा रहना है तो सड़कों पे निकलना होगा
घर के बोसीदा किवाड़ों से चिपक मत जाना

कैंचियां ढ़ूंढ़ती फिरती हैं बदन खुश्बू का
खारे सेहरा कहीं भूले से महक मत जाना

ऐ चरागों तुम्हें जलना है सहर होने तक
कहीं मुँहजोर हवाओं से चमक मत जाना.,.,.,!!!!







Kisi aah ke liye door talak mat jaana
Shahjade kahin jangal me bhatak mat jana

Imtehan lenge yahan sabra ka duniya wale
Meri aankhon, kahi aise me chalak mat jana

Jinda rahna hai to sadko pe nikalna hoga
Ghar ke boshida kiwadon se chipak mat jana

Kainchiyan dhundti firti hai badan khushbu ka 
Khare shehara kahin bhoole se mahak mat jaana

Ae charago tumhe jalna hai sahar hone tak
Kahi munhjor hawao se chamak mat jaana

Har Shaksh Mera saath nibha nahi sakta- Best Urdu Ghazal by Waseem Barelavi in Hindi Font

Har Shaksh Mera saath nibha nahi sakta- Best Urdu Ghazal by Waseem Barelavi in Hindi Font
क्या दुःख है, समंदर को बता भी नहीं सकता
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता

तू छोड़ रहा है, तो ख़ता इसमें तेरी क्या
हर शख्स मेरा साथ, निभा भी नहीं सकता



प्यासे रहे जाते हैं जमाने के सवालात
किसके लिए जिन्दा हूँ, बता भी नहीं सकता

घर ढूंढ रहे हैं मेरा , रातों के पुजारी
मैं हूँ कि चरागों को बुझा भी नहीं सकता

वैसे तो एक आँसू ही बहा के मुझे ले जाए
ऐसे कोई तूफ़ान हिला भी नहीं सकता,.,!!




Kya dukh hai samandar ko bata bhi nahi sakta
Aansoo ki tarah aankh tak aa bhi nahi sakta

Tu chhod rha hai to khata ismen teri kya
Har shaksh mera saath nibha bhi nahi sakta

Pyase rah jate hain jamane ke sawalat
Kiske liye jinda hu bata bhi nahi sakta

Ghar dhund rahe hain mera raton ke pujari
Mai hu ke chiragon ko bujha bhi nahi sakta

Vaise to ek aansoo baha kar mujhe le jaaye
Aise koi toofan hila bhi nahi sakta,.,!!

Hain Honth uske kitabon me likhi tahreeron jaise- Best Urdu Sher, 2 Liner in Hindi Font

Hain Honth uske kitabon me likhi tahreeron jaise- Best Urdu Sher, 2 Liner in Hindi Font
है होंठ उसके किताबों में लिखी तहरीरों जैसे..,.!!
ऊँगली रखो तो आगे पढने को जी करता है.,..!!




Hain Honth uske kitabon me likhi tahreero jaise
Ungli rakho to aage padhne ko jee karta hai 

Wo Gaya ke Ritu hi badal Gayi- Best Urdu Sher, 2 Liner in Hindi Font

Wo Gaya ke Ritu hi badal Gayi- Best Urdu Sher, 2 Liner in Hindi Font
वो गया के रुत (ऋतू) ही बदल गयी .,,!!
एक शक्श सारे शहर को वीरान कर गया .,.,!!




Wo Gaya ke rut hi badal gayi
Ek shaksh sare shahar ko veeran kar gaya